ChArMiNg PoEtRy ...!!!!!

Monday, August 24, 2009

Kahan Gya Hai Mery Shahar Ky Musafir Tu

Hoi Hai Sham To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu

Kahan Gya Hai Mray Shahar Ky Musafir Tu,,

Main Janta Hoon Kay Duniya Tujhay Badal Day Gi

Main Manta Hoon Kay Aysa Nahi Bazahir Tu.....

usney chuh kar mujhe pathar se insaan kiya

Raat ankho me dhali palkon par jugno aye
hum hawaoun ki tarah jakar usey chuh aye,

usny chuh kar mujhe pathar se insan kiya
mudhaton baad meri ankho me anso aye.....

Friday, July 24, 2009

AB WO TOOFAN HA NA....

Ab wo toofan hy na wo shor hawaoun jesa
dil ka Aalam hy tere bad khalaon jesa,

kaash dunya mere ehsaas ko wapis kr dy
khamoshi ka wohi andaaz sadaon jesa,

paas reh kr bhi wo hmesha boht door mila
uska andaz-e-taghaful tha khudaon jesa,

phir teri yaad ka mosam ny jagaya mehshar
phir mere dil main utha shor hawaon jesa,

baar-ha khawab main pa kr mujhy pyasa Mohsin.
uski zulfon ny kiya raqs ghataon jesa.....!!!

Usyy chaaha to bohat

usay chaaha to bohat mager wo mila hi nahi
Lakh koshishain kiin mgr fasla mita hi nahi

Zamanay nay usay is qader tang ker dya
meri kisi sada py wo ruka hi nahi

Har ik se poocha sbab us k na milnay ka
Her ik ne btaya wo tey lye bna hi nahi

Khuda Se jholi phela phela k manga usy
Khuda ne mri kisi sdaa ko suna hi nahi

Main Tmam umer koshishon k bawajood thak gya
Wo usay Mil gya jis ne kbhi usay manga hi nahi

Pyar kartey hain

Aksar jub hum aap ko yaad kartey hain,

Tau apnay RAB say yehi faryad kartey hain,

Umar hamari bhi lag jae aap ko,

K hum aap ko khud say bhi zaida pyar kartey hain....

Monday, July 6, 2009

Mohabbat Maar Daiti Hai....

Bohut Khud Pe Jabar Ker Ke...

Mohabbat Ka Safar Ker Ke...

Mita Ke Her Khushi Apni...

Ussay Panay Ki Chahat Mein...

Bus Itna Jaan Paye Hum...

Mohabbat Maar Daiti Hai....

Udaasi Ki Tou Ab Aadat Si Hai Hamain.....

Udaasi Ki Tou Ab Aadat Si Hai Hamain.....

Khushiyon Ko Ab Dil Anjan Kehta Hai......

Chahat Thi Jis Ki Woh Nai Hua Apna.......

Yun to Apna Hamian Saara Jahan Kehta Hai.....