ChArMiNg PoEtRy ...!!!!!

Sunday, May 17, 2009

HUM NE TUMKO KITNA YAAD KIYA....!!!!!

Tumko socha tum pe aetibar kiya
Hum ne dil ko chahat se abaad kiya


Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya

Dil ne jab bhi milnay ko israr kiya
Hum ne aankhein band kr k deedar kiya

Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya


Raat bitaai tum ne taray gin gin kr
Bekhuwabi ne kyun itna betab kiya

Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya


Raat to jesay tesay tumhari guzar gai
Par din mein hichki ne haal kharab kiya


Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya


Aaj achanak hum ne tumharay ghar aa kr
Apnay sacchay jazbon ka izhar kiya


Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya


Mere bina jo guzri tum ne keh daali
Par hum ne khamoshi se izhar kiya

Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kiya

Mere khat,phones aur mere msgs ne
Hr lamha tanhaai mein tumko shaad kiya


Dekha tum ne hum ne tumko kitna yaad kia

No comments:

Post a Comment

Do You Like It!!!!!!